Thursday, December 6, 2007

Latest Love SMS

Hum Safar Gham Jo Mohabaat Mein Diya Hai Tumne
Yeh Bhi Mujh par Bada Ehesaan Kiya Hai Tumne

Ek Muddat Se Isi Din Ki Thi Hasarat Dil Mein
Aaj Mein Khush Hun Ke Deewana Kaha Hai Tumne

Jab Bhi Takarai Mere Jism Se Yeh Sh_okh Hava
Mujh ko Mehsoos Hua Ke Chuaa Hai Tumne

Kya Mere Dil Ke Dhadakane Ki Hi Awaaz Hai Yeh
Ya Ke Phir Kaan Mein Kuch AaKe Kaha Hai Tumne

Hitchkiyan Bhi Kabhi Kambhakt Nahin Aati Hai
Jo Yeh Sochon Ke Mujhe Yaad Kiya Hai Tumne.

-------------

kabhii kitaabo.n me.n phuul rakhanaa
kabhii daraKhto.n pe naam likhanaa
hame.n bhii hai yaad aaj tak vo
nazar se harf-e-salaam likhanaa

vo chaa.Nd chehare vo bahakii baate.n
sulagate din the mahakatii raate.n
vo chhoTe-chhoTe se kaaGazo.n par
muhabbato.n ke payaam likhanaa

gulaab cheharo.n se dil lagaanaa
vo chupake chupake nazar milaanaa
vo aarazuuo.n ke Khvaab bunanaa
vo qissaa-e-naatamaam likhanaa

mere nagar kii hasii.n fazaao
kahii.n jo un ke nishaan paao
to puuchhanaa ye kahaa.N base ho
kahaa.N hai.n un kaa qayaam likhanaa

ga_ii ruto.n me.n "Hasan" hamaaraa
bas ek hii to ye mashaGalaa thaa
kisii ke chehare ko subah kahanaa
kisii kii zulfo.n ko shaam likhanaa

Urdu Love SMS

Koi to hota!
Main jiske dil ki kitaab banta,
Main jiski chahat ka Khuab banta,
Main hijar k mausam ki Lambi raton main,
Yaad ban ker azaab banta

Koi to hota!
Jo meri khuahish main
Uth k raaton ko khoob rota,
Dukhon ki chadar lapait ker,
Hujoom-e-Duniya se door hota,
Main roth jata manata mujhko
K Chahay mera qasoor hota,

Koi to Hota!
K main jis k itna qareeb hota,
Na paas koi raqeeb hota,
Main tanha uska habeeb hota,
Ye silsilabhi ajeeb hota,

Koi to hota!!!!!

Apni haseen aankhon main chupalo mujheko,
Mohabbat agar kerte ho churalo mujhko,
Khone ka agar khof ho to meri jaan,
Dil ki her dharkan main basa lo mujhko,
Dhoop ho ya sehra tere sath chalen gay,
Yaqeen na ho to aazma lo mujhko,
Teray her dukh ko seh len gay huns ker,
Agar apne badan ki chadar bana lo mujhko,
Sahil se pehle chor to na do gay? Wada kero....
Tum abhi aaghaz-e-safar main ho batado mujhko,
Zindagi bhi tere naam ker denge,
Bush chand lamhe seenay se laga lo mujhko.

SMS Forum